Meri Purani Ichha Puri Ho Gayi – Part 1

fantasycouple 2018-03-14 Comments

Dosto ye kahani main urdu/hindi mein likh rha hoon.

Mehar ko maine ye keh to diya tha ke hum apni dil ki khawahishein puri kar leni chahiye, baby se pehle aur usi waqt se hi mere mann mein kafi chezein chalna shuroo ho gyi thi.

Jo jo fantasies maine apni teen age mein sochi thi, main unhe dobara sochne laga ke wo batein apni zuban per laoon ke nahi. Pata nahi mehar kya sochegi, husband aur wife ke darmiyan ek respect ka rishta bhi hota hai.

Agar hum intna jada open ho jate hai ek dusre ke sath to ya to hum bahot hi ek dusre ke qreeb aa jayenge ya phir kaam bilkul ulat bhi ho sakta hai. Yani hum ek dusre se bahot door bhi ja sakte hai.

Office mein bhi mere mann mein yehi batein ghoomti rahi, aur do din tak main kafi is bare mein sochta raha aur sach kahoon to mera dil nahi mana ke mein apni wife ko jo itni young aur khoobsoorat ho aur mein usse aisi batein karoon.

Lekin mann shetani hota hai aur kuch na kuch mere andar tha jo mujhe push kar raha tha ke main ye apni wife se share karoon.

Weekend aaga aur hum loog mere inlaws ke ghar chale gye, hamein khane per invite kiya gya tha aur mere saas aur susar dono hi kafi achhe loog the bahot aoo bhagat karte the.

Meri wife ki do aur behne aur ek bhai hai, behne dono chhoti hai aur padh rahi hai, ninth aur first year mein aur bhai b.E kar raha hai.

Hum log aksar khana khane ke baad caremboard khela karte hai aur chai ka door chalta hai, phir kuch tv programs per tabsara aur apne ghar ki taraf wapis. Ye kahani aap desi kahani dot net par padh rhe hai.

Lekin is dafa kafi late ho gye carem khelte hue, is liye meri saas ne humein rook liya aur agle din jane ko kaha.

Maine bhi socha ke chalo aram se nashte ke baad chale jayenge. Unhone hamein hamare sale ka kamra de diya, wahan per do single beds the lekin kyoki kamra bahar tha is liye wo hamein de diya gya.

Mein kapde badal kar kamre ka jeayza lene laga, mehar kapre badalne chali gyi, kuch kitabe book shelf mein mujhe interest ki nazar aayi, ek kitaab nikal kar dekhne hi wala tha ki do cd’s kitab se nikal ke neeche gir gyi.

Cds blank thi, to mere kuch kuch samajh aane laga ke in cds mein kya ho sakta hai, kyoke cds ka cover blank tha, books ke beech mein chhupayi gyi thi aur kamra bhi sale sahab ka tha, maine dono cds wapas rakh di aur kitaab ko dekhe bager hi wapas shelf mein rakh diya.

Thodi dair mein mehar bhi aa gyi aur hum dono sone ki teyari karne lage, wife hamesha maike mein jada pursakoon aur araam mehsoos karti hai, is liye shayad mehar ne phir wohi topi yani baby planing ka topic shuru kiya.

Mehar – suniye maine socha ke aap thik keh rahe hai, mere dil mein to sirf ek khawahish hai ke main singapore dekh loon, uske baad baby plan karege.

Mere mann mein to khair ye baat aayi nahi ke mehar bhi kuch soch rahi hogi aur singapore to hum baby ke sath bhi ja sakte the, mera to mann kahi aur hi tha.

Maine halki muskurahat ke sath kaha – agar tumhari khawahish hai to main zaroor lekar jaoonga tumhe singapore. Lekin waha to hum baby ke sath bhi ja sakte hai, mera to matlab tha ke koi aisi cheez jo hame baby ke aane baad kar na sake.

Mehar – aisi konsi cheez ho sakti hai, jo baby aane ke baad hum na kar sake?”.

Mehar ke chahre per sawaliya nishan tha, jaise use koi ye puzzle suljhane mein mushkil ho rahi ho.

Main – mehar ek meri khawahish hai to sahi lekin sun ke kahi tum naraz na ho jaao.

Mehar ke chehre per ek rang aa kar chala gya aur thodi si pareshani nazar aayi to main foran bol pada – arre yaar itni bhi pareshani ki baat nahi hai.

Achha to kya baat hai aap abhi batao main naraz nahi hongi – mehar ne kisi bache ki tarha zid karte hue kaha.

Yaar meri young age mein khawahish thi ke main apni wife ke ko erotic movie dikhau, lekin aaj tak main tumhare sath koi bhi movie nahi dekh saka hoon – maine kafi soch samajh ke baat ek halke topic se shuru ki.

Meri baat sun kar mehar ke chehre per surkhi aur darr dono namudar hue, lekin wo is baat ko control karne lagi aur halki phuli sans ke sath mujh se kaha ke – aap kyo aisi cheeze dikhana chahte hai, ye koi achi cheez to nahi hai.

Main expect kar raha tha ke mehar upset ho jayegi kyoki humne kabhi aisi baat nahi ki thi – yaar baat achhe bure ki nahi sirf dil ki khawahish hi hai, mujhe pata tha ke tumhe achhi nahi lagegi ye baat, isliye pehle hi main thoda jhijhak raha tha tumse kehne mein.

Mehar shayad samajh nahi pa rahi thi ke kya kahe to maine use dilasa diya – mehar tum hi to meri sab kuch ho is se jada mujhe kuch nahi chahiye, ye to chhoti chhoti dil ki khawahishe hai jo waise hi dimag mein aayi thi.

Comments

Scroll To Top