Zindagi, Ek Anokha Safar – Episode 8

contents.dk 2018-03-24 Comments

This story is part of a series:

Aarif – Uski ek khass vajah hai.

Simran – Or wo kya thi ?

Aarif – Actually yahan ke jo trusty hai. Unka naam Vimal Thakur hai. Karan unka saga bhanja hai. Karan mera sab se acha dost hai. Par use Thakur naam ka use karna acha nhi lagta isliye usne mujhe aisa karne ko kaha.

Nisha – Wese aapka wo dost Karan haii khana ?

Simran – Kitna sabaal karti ho tum uski chalo ab chodao class aa gyi hai.

Wo teeno ek sit par beth jati hai aur Aarif Karan ke pass ja kar beth jata hai.

Aarif – Sale koi teri jagah koi aur hota toh wo aisi baat nhi karta. Agar wo gussa ho jati toh ?

Karan – Maan leti toh maan leti mera kya ja rha hai.

Aarif – Yaar tu meri bani hui baat kharab karegea. Wese mujhe toh aaj love first side ho gya hai.

Karan – Chutiye isliye tujhe main rok rha tha.

Aarif – Ab toh sach me ye hi meri rani banegi.

Karan – Kese banegi ye rani teri.

Aarif – Simple hai pehle love or fir shadi.

Karan – O hello bhai ek minute please sapne se bahar aaja. Love ke liye pehle i love you dono side se bolna padta hai. Uske liye dono ki baat honi chayie, mana ki usne baat shuru kar di hai. Kya tu sidha purpose kar dega use.

Aarif – Bhai use toh main jarur purpose karunga.

Karan – Tab ka tab dekhiyo ab sale study par dhyan dele.

Simran – Yaar pehli baar aisa hua ki kisi ko dekh kar dil me kuch hua hai,

Nisha – Ohh hoo khin aisa toh nhi ki madam ko aaj pyar ho gya hai.

Simran – Haan Nisha mujhe pyar ho gya hai, wo bhi first side wala.

Nisha – Chal thik hai dekh professor sir bhi aa rhe hai. Ab apni love story par break maar please.

Professor ke aane ke baad sabhi class me chup chap ho jate hai. Unke lecture ke baad college band ho jata hai. Aarif or Karan bike lene ke liye ja rhe hote hai. Tabhi Simran or Nisha aa jati hai unke pass.

Simran – Aap khan se ho ?

Aarif – Highway se jo rasta gya hai usi raste ke gali no 22 se aate hai hum dono.

Simran – Main bhi usi raste me re2hti hoon. Gali number 19 me.

Aarif – Ye toh bahot achi baat hai.

Nisha – Or aap kahan rehte ho ?

Karan – Bhai mujhe kaam hai main chalta hoon. Karan whan se nikal kar parking me aa kar apni bike nikal kar samne ek side ki dukaan par Aarif ka wait karne lag jata hai,

Nisha – Inko akhir hua kya hai.

Aarif – Wo kya hai naa kabhi ye ladkiyo se baat nhi karta. Toh baat karne darta hai ye.

Ye sun kar sab hasne lag jate hai.

Simran – Aagar aap bura na mane toh kya aap mujhe drope kar skate hai. Wo kya hai naa Nisha or main sath me hi aati hai par Nisha ko aaj kuch kaam hai,

Aarif – Haan kyo nhi chaliye. Fir tino parking area me aa jate or Aarif apni bike aur Nisha apni scooty nikal kar same soda shop ko dekh kar.

Nisha – Soda pine chale ?

Aarif – Kyo nhi sabhi yahin phunch jate hai jhan Karan hath me soda ka glass liye Aarif ka wait kar rha tha. Aarif ke piche Simran ko dekh kar.

Karan – Tum sabhi khain ghumne jaa rhe ho kya ?

Aarif – Nhi yaar ghar hi jaa rhe hai bs.

Karan – Fir ye ladkiyo ?

Simran – Kyoki maine bola hai drop karne ke liye. Wo kya hai na mera or Aarif a ghar samne line me hi padta hai. Nisha ko aaj apne papa ke office jana hai.

Karan – Ohh hoo fir Aarif main nikalta hoon yaar.

Aarif – Kahan ja rha hai yaar.

Karan – Ghar or khan jana hai maine ?

Aarif – Main bhi toh ghar hi ja rha hoon. Sath me chalte hai naa soda pi kar.

Karan – Thik hai bhai.

Abhi kuch der hi hui thi ki ek ladki piche se aa kar Karan ki ankho ko apne hatho se dhak leti hai.

Karan – Please samne aa jao maine aap ko nhi pehchana.

Wo ladki apne hath hatta kar samne aa jati hai. Jise dekh kar Karan bina kuch bole use apne gale se laga leti hai.

Ye dekh kar Nisha ki ankho me ansu aa jate hai. Jise Simran dekh leati hai. Udhar wo dono alag hote hai.

Ladki – Are budhu tu mujhe kese bhul skata hai ?

Karan – Kya baat kar rhi ho main aur aapko bhul jaun aisa nhi ho skta.

Ladki – Acha ye bato college ka pehla din kesa rha.

Karan – Acha rha, wese Sital didi aap America se bina koi inform kiya. ( Sonam ki behen.)

Ye sun kar Nisha khush ho gyi ki ye Karan ki behen hai.

Sital Didi – Tujhe surprise jo dena tha, chal chhod ye sab pehle tu humesha ki tarah hum dono wala fav. soda pila fir ghar chalte hai. Ye kahani aap desi kahani dot net par padh rhe hai.

Comments

Scroll To Top